Showing posts with label Shayri. Show all posts
Showing posts with label Shayri. Show all posts

Sunday, July 6, 2014

Khaamosh Rehkar bhi Sawaal

Koi Aankho-Aankho Se Baat Kar Leta Hai..

Koi Aankho-Aankho Mein Mulakaat Kar Leta Hai...

Bada Mushqil Hota Hai Jawaab Dena,

Jab Koi Khaamosh Rehkar bhi Sawaal Kar Leta Hai...

दीवारों के कान

वो दुआएँ काश मैंने दीवारों से मांगीं होतीं

ए खुदा, सुना है की उनके तो कान होते हैं

MAA

Super Duper Shayri: MAA k aanchal me sone ka sukh, agli generation nahi le payegi...
.
.
Kyu ki
.
SHORTS pehenne wali
MAA, aanchal kaha se layegi.

Saturday, December 24, 2011

Ajib Kahani

Apni Zindgi Ki To Ajib Kahani Hai
Jis Chiz Ko Chaha Wo Hi Begani Hai
Hanste hai Duniya Ko Hasane Ke Liye
Varna Duniya Dub Jaye In Ankho Me Itna Pani Hai

Monday, March 28, 2011

Vo unchai kis kam ki........

Jaha yad na aye vo tanhai kis kam ki,
Bigde rishte na bane to khudai kis kamki,
Beshak apni manjil tak jana he,
Par jaha se apne na dikhe vo unchai kis kam ki........

Wednesday, January 26, 2011

Lafz Bankar..

Lafz Bankar Kitabon Main Milenge
Mahek Bankar Phulo Main Milenge
Wada Raha Aap Se Jab Yaad Karoge Hume Dil Se
Khushi Ke Aansu Bankar Aankho Main Milenge.

Ek Adhuri Khwaish

Ek Adhuri Khwaish Meri Puri Hojaye
Muje Yaad Karna Unki Majburi HoJaye
A Khuda Kuch Aisi Takdir Bana De Ke
Unki Har Ek Khushi Hamare Bina Adhuri Ho Jaye

Tere Naam

Sab Khushiyan Tere Naam Kar Jaunga,
Ye Jaan Bhi Kurban Kar Jaunga,
Tu Roya Karega Mujhe Yaad Karke,
Mai Tere Daaman Me Itna Pyar Bhar Jaunga.

Mehfil Main Hasna

Mehfil Main Hasna To Hamara Mizaz Ban Gaya
Tanhai Main Rona Ek Raaz Ban Gaya
Dil ke Dard Ko Chehre Se Zahir Na Hone Diya
Yahi Zndgi Jine Ka Andaz Ban Gaya